teenat mein faromaaeeh nahi misl hawas
par shahbaaz se mumkin nahi parwaaz magas
yoon bhi dastoor gulistan ko badal sakte hain
ki nasheman ho anaadal pe giran misl quafas
aamaada nahi muntazir baanag raheel
!he kahan quafila mauj ko parwaaye jaras
garche maktab ka jawan zinda nazar aata hai
murda hai maang ke laaya hai farangi se nafas
parawrish dil ki agar madd nazar hai tujh ko
!marad momin ki nigaah ghalat andaaz hai bas
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga