kya charkh kaj ro kya mehar kya maah
sab ro hain waamaanda raah
kadka sikandar bijli ki maanind
tujh ko khabar hai ai marg naagaah
naadir ne loti dili ki daulat
ik zarb shamsheer afsaana kotaah
afghaan baaqui kohsaar baaqui
!aalahkam lillaah ! alamlak lillaah
haajat se majboor mardaan
karti hai haajat sheeron ko robaah
mahram khudi se jis dam hua faqr
!to bhi shahanshaah mein bhi shahanshaah
quomon ki taqudeer wo mard darwesh
jis ne na dhondi sultan ki dargaah
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga