maaloom kise hind ki taqudeer ki ab tak
beechaara kisi taaj ka taabanda nagin hai
dahquan hai kisi quabr ka agla hua murda
boseeda jis ka abhi zer zamin hai
jan bhi garo ghair badan bhi garo ghair
afsos ki baaqui na makan hai na makin hai
yorap ki ghulaami pe raza mand hua toh
mujh ko toh gila tujh se hai yorap se nahi hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga