quomon ki rawish se mujhe hota hai ye maaloom
be sood nahi ros ki ye garmi raftaar
andesha hua shokhi afkaar pe majboor
farsoda tareequon se zamaana hua bezaar
insan ki hawas ne janin rakkha tha kar
khalte aate hain batadreej wo asraar
quraaan mein ho ghota zan ai mard musalman
allaah kare tujh ko ata jadat kirdaar
jo harf kal alfo mein posheeda hai ab tak
!aas door mein shaayad wo haqueeqat ho namodaar
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga