ai ahal zauque nazar khoob hai lekin
jo shay ki haqueeqat ko na dekhe wo kya
maqsood hunar soz hayaat abdi hai
ye ek nafas yaa do nafas misl sharar kya
jis se dil dariya matlaatam nahi hota
ai quatriya neesan wo sadaf kya wo guhar kya
shaair ki nawa ho ki maghni ka nafas ho
jis se chaman afsurda ho wo baad sahar kya
be majza duniyaa mein ubharti nahi quomin
!jo zarb kaleemi nahi rakhta wo hunar kya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga