aaya kahan se naala ne mein sarod mai
asl us ki ne nawaaz ka hai ki chob ne
kya hai us ki masti w quwwat kahan se hai
kyoon us ki ik nigaah alatti hai takht ke
kyoon us ki zindagi se hai aqwaam mein hayaat
kyoon us ke waardaat badalte hain pay b pay
kya baat hai ki saahab dil ki nigaah mein
jachti nahi hai saltanat rom w shaam w re
jis roz dil ki ramz maghni samajh gaya
samjho tamaam marahla haaye hunar hain tay
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga