dariya mein moti ai mauj be baak
saahil ki saughaat ! khaarokhas w
mere sharar mein bijli ke jauhar
lekin neestan tera hai nam naak
tera zamaana taaseer teri
naadan ! nahi ye taaseer aflaak
aisa junoon bhi dekha hai mein ne
jis ne seeye hain taqudeer ke chaak
kaamil wahi hai rindi ke fan mein
masti hai jis ki be minnat taak
rakhta hai ab tak meekhaana sharaque
wo mai ki jis se raushan ho idraak
ahal hain yorap se naumeed
un amton ke baatin nahi paak
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga