mehar w mah w mashatri chand nafas ka farogh
se hai paaydaar teri khudi ka wajood
tere haram ka zameer asod w ahmar se paak
nang hai tere liye surkh w sapeed w kabod
teri khudi ka gheeaab maarka zikr w fikr
teri khudi ka huzoor aalam sher w sarod
rooh agar hai tiri ranj ghulaami se
tere hunar ka jahan der w tawaaf w sujood
aur agar baakhbar apni sharaafat se ho
teri sipah uns w jin toh hai ameer janod
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga