ruswa kya us door ko jalwat ki hawas ne
raushan hai nigah aaina hai makdar
badh jaata hai jab zauque apni hadon se
ho jaate hain afkaar paraaganda w abtar
aaghosh sadaf jis ke naseebon mein nahi hai
wo quatra neesan kabhi banta nahi gauhar
khalwat mein khudi hoti hai khodgeer w lekin
khalwat nahi ab der w haram mein bhi mayassar
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga