mujh ko maaloom hain peeraan haram ke andaaz
ho na ikhlaas toh dawiye laaf w gazaaf
aur ye ahal kaleesa ka nizaam taaleem
ek saazish hai faquat deen w murawwat ke khilaaf
us ki taqudeer mein mahkomi w mazlomi hai
quaum jo kar na saki apni khudi se insaaf
afraad se ighmaaz bhi kar leti hai
kabhi karti nahi millat ke gunaahon ko muaaf
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga