mile ga maqsood ka asi ko suraagh
andheri mein hai cheete ki aankh jis ka charaagh
mayassar aati hai fursat faquat ghulaamon ko
nahi hai bandaa har ke liye jahan mein faraagh
farogh magharbeean kheera kar raha hai tujhe
tiri nazar ka nigahban ho saahab maazaagh
wo bazm aish hai mehmaan yak nafas do nafas
chamak rahe hain misaal sitaara jis ke ayaagh
kya hai tujh ko kitaabon ne kor zauque itna
saba se bhi na mila tujh ko boo gul ka suraagh
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga