toh rah naward shauque hai na kar qubool
laila bhi ham nashin ho toh mahmil na kar qubool
ai joo aab badh ke ho dariya tund w tez
saahil tujhe ata ho toh saahil na kar qubool
khoya na ja sanam kada kaaenaat mein
mahfil gudaaz ! garmi mahfil na kar qubool
subh azal ye mujh se kaha jibraeel ne
jo aql ka ghulaam ho wo na kar qubool
baatil dui pasand hai haque la shareek hai
!sharkat meeaana haque w baatil na kar qubool
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga