teri mata hayaat ilm w hunar ka suroor
!meeri mata hayaat ek naasbor
majza ahal fikr falasfah pech pech
majza ahal zikr moosa w firaaun w taur
maslahta kah diya mein ne musalman tujhe
tere nafas mein nahi garmi yaum alanshor
ek zamaane se hai chaak gareban mira
toh hai abhi hosh mein mere junoon ka qusoor
faiz ke liye zabt sukhan chahiye
harf pareshan na kah ahal nazar ke huzoor
khwaar jahan mein kabhi ho nahi sakti wo quaum
ishq ho jis ka jasor faqr ho jis ka gheewar
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga