kuchh aur cheez hai shaayad tiri musalmaani
tiri mein hai ek faqr w rahbaani
sakon parasti raahab se faqr hai bezaar
faqueer ka hai safeena hamesha toofaani
pasand rooh w badan ki hai wa numood us ko
ki hai nihaayat momin khudi ki uryaani
wajood seerfi kaaenaat hai us ka
use khabar hai ye baaqui hai aur wo faani
asi se poochh ki pesh hai jo kuchh
jahan hai yaa ki faquat rang w boo ki tagheeaani
ye faqr mard musalman ne kho diya jab se
rahi na daulat salmaani w sulemaani
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga