toh ne pochhi hai amaamat ki haqueeqat mujh se
haque tujhe meri tarah asraar kare
hai wahi tere zamaane ka imaam barhaque
jo tujhe haazir w maujood se bezaar kare
ke aaine mein tujh ko dikha kar rukh dost
zindagi tere liye aur bhi dushwaar kare
de ke ehsaas ziyan tera lahoo garma de
faqr ki saan chadha kar tujhe talwaar kare
fitna millat beeza hai amaamat us ki
jo musalman ko salaatin ka parastaar kare
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga