afkaar jwaanon ke khafi hoon ki jali hoon
posheeda nahi mard qualandar ki se
maaloom hain mujh ko tire ahwaal ki mein bhi
muddat hui guzra tha asi guzar se
alfaaz ke peechon mein ulajhte nahi daana
!ghwaas ko matlab hai sadaf se ki guhar se
paida hai faquat halqua arbaab junoon mein
wo aql ki pa jaati hai shole ko sharar se
jis mani pecheeda ki tasdeeque kare dil
queemat mein bahut badh ke hai taabanda guhar se
yaa murda hai yaa naza ki haalat mein giraftaar
jo falsafa likha na gaya khoon jigar se
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga