kise khabar ki hazaaron maquam rakhta hai
wo faqr jis mein hai be parda rooh quaraani
khudi ko jab aati hai quahri apni
yahi maquam hai kahte hain jis ko sultaani
yahi maquam hai momin ki quoton ka ayyaar
asi maquam se aadam hai zill sabhaani
ye jabr w quahar nahi hai ye w masti hai
ki jabr w quahar se mumkin nahi jahan baani
kya gaya hai ghulaami mein mubtala tujh ko
ki tujh se ho na saki faqr ki nigahbaani
misaal maah chamakta tha jis ka daagh sujood
khareed li hai farangi ne wo musalmaani
hua hareef mah w aaftaab toh jis se
rahi na tere sitaaron mein wo darakhshaani
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga