kahta tha azaazeel khudaawand jahan se
!parkaalah aatish hui aadam ki kaf
jan laaghar w tan farba w malboos badan zeb
!dal naza ki haalat mein khirad pukhta w chaalaak
naapaak jise kahti thi mashrique ki shareet
!maghrab ke faqueehon ka ye fatwi hai ki hai paak
tujh ko nahi maaloom ki horaan bahishti
weeraani jannat ke tasawwur se hain naak
jamhoor ke iblees hain arbaab siyaasat
!baaqui nahi ab meri zaroorat tah aflaak
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga