bata kya tiri zindagi ka hai raaz
hazaaron baras se hai toh baaz
asi mein dab gai teri aag
!sahar ki azan hogiyi ab toh jaag
zamin mein hai go khaakeewan ki baraat
nahi us andhere mein aab hayaat
zamaane mein jhoota hai us ka nagin
jo apni khudi ko parakhta nahi
butaan shawab w quabaayal ko tod
rasom kuhan ke salaasil ko tod
yahi deen mohkam yahi fath baab
ki duniyaa mein toheed ho be hijaab
bakhaak badan daanah dil fishan
ki ain daana daardaz haasil nishan
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga