raaz hai raaz hai taqudeer tag w taaz
josh kirdaar se khul jaate hain taqudeer ke raaz
josh kirdaar se shamsheer sikandar ka tuloo
koh alonad hua jis ki haraarat se gudaaz
josh kirdaar se teemor ka sail hama geer
sail ke saamne kya shay hai nasheb aur faraaz
saf jangaah mein mardaan ki takbeer
josh kirdaar se banti hai khuda ki aawaaz
hai magar fursat kirdaar nafas yaa do nafas
!waz yak do nafas quabr ki shab haaye daraaz
aaquibat manzil ma waadi khaamoshaan asat
!haaleea ghalaghla dar gumbad aflaak andaaz
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga