khol aankh zamin dekh falak dekh faza dekh
mashrique se abharte hue sooraj ko zara dekh
us jaloya be parda ko pardon mein chhupa dekh
ayyaam judaai ke sitam dekh dekh
!be taab na ho markah beem w raja dekh
hain tere tasraf mein ye baadal ye ghataaein
ye gumbad aflaak ye khaamosh fazaaein
ye koh ye sahra ye samundar ye hawaaein
thin pesh kal toh farishton ki adaaein
!aayeenah ayyaam mein aaj apni ada dekh
samjhe ga zamaana tiri aankhon ke ishaare
dekhein ge tujhe door se gardoon ke sitaare
naapeed tire bahar takheel ke kinaare
pahanchin ge falak tak tiri aahon ke sharaare
!tameer khudi kar asar aah rasa dekh
khursheed jahan taab ki zo tere sharar mein
aabaad hai ik taaza jahan tere hunar mein
jachte nahi bakhshe hue firdaus nazar mein
jannat tiri pinhan hai tire khoon jigar mein
!aae paikar gul koshish paiham ki jaza dekh
naalanda tire awad ka har taar azal se
toh jins mohabbat ka khareedaar azal se
toh peer sanam khaanah asraar azal se
mehnat kash w khoon rez w kam aazaar azal se
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga