ata hui hai tujhe rozoshab ki betaabi
khabar nahi ki toh khaaki hai yaa ki seemaabi
suna hai se teri numood hai lekin
tiri sarshat mein hai kokbi w mah taabi
apna agar khawaab mein bhi toh dekhe
hazaar hosh se khoshtar tiri shukr khwaabi
giran baha hai tira gareeh sahar gaahi
asi se hai tire nakhl kuhan ki shaadaabi
tiri nawa se hai be parda zindagi ka zameer
ki tere saaz ki fitrat ne ki hai mazraabi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga