kade mein ek din ik rind zeerak ne kaha
hai hamare shahar ka waali gada be haya
taaj pahnaaeea hai kis ki be kulaahi ne use
kis ki uryaani ne bakhshi hai use zarin quaba
us ke aab goon ki khoon dahquan se kasheed
tere mere khet ki mitti hai us ki keemiya
us ke nemat khaane ki har cheez hai maangi hui
dene waala kaun hai mard ghareeb w be nawa
maangane waala gada hai sadquaa maange yaa khiraaj
!koyi maane yaa na maane meero sultan sab gada
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga