ye ghaazi ye tere par asraar bande
janin toh ne bakhsha hai zauque khudaai
do neem un ki thokar se sahra w dariya
simat kar pahaad un ki heebat se raai
do aalam se karti hai begaana ko
ajab cheez hai lazzat aashnaai
shahaadat hai matloob w maqsood momin
na maal ghaneemat na kishwar kashaayi
khayaaban mein hai muntazir laala kab se
quaba chahiye us ko khoon arab se
kya toh ne sahra nasheenon ko yakta
khabar mein nazar mein azaan mein
talab jis ki sadiyon se thi zindagi ko
wo soz us ne paaya ani ke jigar mein
kushaad dar dil samajhte hain us ko
halaakat nahi maut un ki nazar mein
dil mard momin mein phir zinda kar de
wo bijli ki thi nara laatzar mein
azaayam ko seenon mein bedaar karde
!nagaah musalman ko talwaar karde
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga