meri aankhon ka hai toh
mere ka suroor hai toh
apni waadi se door hoon mein
mere liye nakhl taur hai toh
maghrib ki hua ne tujh ko paala
sahra arab ki hoor hai toh
pardees mein naasbor hoon mein
pardees mein naasbor hai toh
ghurbat ki hua mein baaror ho
saaqui tera nam sahar ho
aalam ka ajeeb hai nazaara
daamaan nigah hai paara paara
!hamat ko shanaawri mubaarak
paida nahi bahar ka kinaara
hai soz daroon se zindagaani
uthta nahi khaak se sharaara
subh ghurbat mein aur chamka
toota hua shaam ka sitaara
momin ke jahan ki had nahi hai
momin ka maquam har kahin hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga