faqr ke hain majzaat taaj w sareer w sapaah
faqr hai meeron ka meer faqr hai shaahon ka shaah
ilm ka maqsood hai paaki aql w khirad
faqr ka maqsood hai afat qualb w
ilm faqueeh w hakeem faqr maseeh w kaleem
ilm hai jweeaaye faqr hai daanaaye raah
faqr maquam nazar ilm maquam khabar
faqr mein masti sawaab ilm mein masti gunaah
ilm ka maujood aur faqr ka maujood aur
!aashad un la ilaah ashad un la ilaah
chadhti hai jab faqr ki saan pe tegh khudi
ek sapaahi ki zarb karti hai kaar sapaah
dil agar us khaak mein zinda w bedaar ho
teri nigah tod de aaynah mahromaah
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga