har ik maquam se aage guzar gaya mah nau
kamaal kis ko mayassar hua hai be tag w do
nafas ke zor se wo ghuncha wa hua bhi toh kya
jise naseeb nahi aaftaab ka partaw
nigaah paak hai teri toh paak hai bhi
ki ko haque ne kya hai nigaah ka peero
panap saka na khayaaban mein laala dil soz
ki saaz gaar nahi ye jahaan gandam w jo
rahe na aeebak w ghori ke maarke baaqui
hamesha taaza w sheerin hai naghma khusraw
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga