miri nawa se hue zinda aarif w aaami
diya hai mein ne anin zauque aatish aashaami
haram ke paas koi ajmi hai zamazma sanj
ki taar taar hue jaama haaye ahraami
haqueeqat abdi hai maquam shabeeri
badalte rahte hain andaaz kofi w shaami
mujhe ye dar hai maquamar hain pukhta kaar bahut
na rang laae kahin tere haath ki khaami
ajab nahi ki musalman ko phir ata kar din
sanjar w faqr janeed w bastaami
quaba ilm w hunar lutf khaas hai warna
!tari mein thi meri naakhosh andaami
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga