ne mahra baaqui ne mahra baazi
jeeta hai romi haara hai raazi
raushan hai jaam jamsheed ab tak
shaahi nahi hai be sheesha baazi
hai musalman mera na tera
!to bhi namaazi mein bhi namaazi
mein jaanta hoon anjaam us ka
jis maarke mein mila hoon ghaazi
tarki bhi sheerin taazi bhi sheerin
harf mohabbat tarki na taazi
aazar ka pesha khaara taraashi
kaar khaleelan khaara gudaazi
toh zindagi hai paaynadgi hai
baaqui hai jo kuchh sab baazi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga