hua na zor se us ke koi gareban chaak
agarche magharbeewan ka junoon bhi tha chaalaak
m e yaquin se zameer hayaat hai parsoz
naseeb madarsa yaa rab ye aab aatish naak
urooj aadam khaaki ke muntazir hain tamaam
ye kahakshan ye sitaare ye neelgon aflaak
yahi zamaana haazir ki kaaenaat hai kya
dimaagh raushan w teera w nigah be baak
toh be basar ho toh ye maane bhi hai
wagarna aag hai momin jahan khas w khaashaak
zamaana aql ko samjha hua hai mishaal raah
kise khabar ki junoon bhi hai saahab idraak
jahan tamaam hai meeraas mard momin ki
mere kalaam pe hajat hai nukta lolaak
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga