dhoond raha hai farang aish jahan ka dawaam
!waaye tamannaa khaam waae tamannaa khaam
peer haram ne kaha sun ke miri roydaad
pukhta hai teri fughan ab na use mein thaam
tha arni go kaleem mein arni go nahi
us ko taquaza rawa mujh pe taquaza haraam
garche hai ifsha raaz ahal ki fughan
ho nahi sakta kabhi shewa rindaana aam
halqua soofi mein zikr be nam w be soz w saaz
mein bhi raha tishna kaam toh bhi raha tishna kaam
ishq tiri intiha ishq miri intiha
toh bhi abhi naatmaam mein bhi abhi naatmaam
aah ki khoya gaya tujh se faqueeri ka raaz
warna hai maal faqueer saltanat rom w shaam
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga