taaza phir daanish haazir ne kya quadeem
guzar us ahad mein mumkin nahi be chob kaleem
aql ayyaar hai so bhes bana leti hai
!shaque be chaara na mila hai na zaahid na hakeem
aish hai ghareebaan mohabbat pe haraam
sab musafir hain bazaahar nazar aate hain maqueem
hai giran sair gham raahla w zaad se toh
koh w dariya se guzar sakte hain maanind naseem
mard darwesh ka sarmaaya hai aazaadi w marg
hai kisi aur ki khaatir ye nasaab zar w seem
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga