na ho tagheeaan mashtaaqui toh mein rahta nahi baaqui
ki meri zindagi kya hai yahi tagheeaan mashtaaqui
mujhe fitrat nawa par pay b pay majboor karti hai
abhi mahfil mein hai shaayad koi aashna baaqui
wo aatish aaj bhi tera nasheman phoonk sakti hai
!talab saadaque na ho teri toh phir kya shakoya saaqui
na kar afrang ka andaaza us ki taabnaaki se
ki bijli ke charaaghon se hai us jauhar ki baraaqui
dilon mein walawle aafaaque geeri ke nahi uthte
nigaahon mein agar paida na ho andaaz aafaaqui
mein bhi kab aasakta tha mein sayyaad ki zad mein
miri ghammaaz thi shaakh nasheman ki kam awraaqui
ulat jaaein gi tadbeerin badal jaaein gi taqudeerin
haqueeqat hai nahi mere takheel ki ye khalaaqui
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga