kamaal tark nahi aab w se mahjori
kamaal tark hai taskheer khaaki w nori
mein aise faqr se ai ahal halqua baaz aaya
tamaara faqr hai be dolti w ranjori
na faqr ke liye mauzoon na saltanat ke liye
wo quaum jis ne ganwaaya mata teemori
sune na saaqui mah wash toh aur bhi achchha
ayyaar garmi sohbat hai harf mazori
hakeem w aarif w soofi tamaam mast zuhoor
kise khabar ki tajalli hai ain mastori
wo malatfat hoon toh kunj quafas bhi aazaadi
na hoon toh sehan bhi maquam majboori
bura na maan zara aazma ke dekh use
farang dil ki kharaabi khirad ki mamori
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga