bedaar faaroqui dil bedaar karaari
mas aadam ke haque mein keemiya hai ki bedaari
dil bedaar paida kar ki dil khwaabeeda hai jab tak
na teri zarb hai kaari na meri zarb hai kaari
mashaam tez se milta hai sahra mein nishan us ka
zan w takhmin se haath aata nahi aahoye taataari
us andeshe se zabt aah mein karta rahoon kab tak
ki magh zaade na le jaaein tiri quismat ki chingaari
khadaawanda ye tere saada dil bande kidhar jaaein
ki darweeshi bhi ayyaari hai sultaani bhi ayyaari
mujhe tahzeeb haazir ne ata ki hai wo aazaadi
ki zaahir mein toh aazaadi hai baatin mein giraftaari
toh ai molaaye yasarba! aap meri chaara saazi kar
miri daanish hai afrangi mira iman hai zanaari
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga