ye kaun ghazal khwan hai parsoz w nashaat angez
andesha daana ko karta hai junoon aamez
go faqr bhi rakhta hai andaaz malokaana
naa pukhta hai parweezi be saltanat parwez
ab hajra soofi mein wo faqr nahi baaqui
khoon sheeran ho jis faqr ki dastaaweez
ai halqua darweeshaan! wo mard kaisa
ho jis ke gareban mein hangaama rasta khez
jo zikr ki garmi se shole ki tarah raushan
!jo fikr ki sarat mein bijli se ziyaada tez
karti hai malokeet aasaar junoon paida
allaah ke nashtar hain teemor ho yaa changeez
yoon daad sukhan mujh ko dete hain araaque w paaras
ye kaafir handi hai be tegh w sinan khoon rez
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga