wahi meri kam naseebi wahi teri be niyaazi
mere kaam kuchh na aaya ye kamaal ne nawaazi
mein kahan hoon toh kahan hai ye makan ki laamkan hai
ye jahan mira jahan hai ki tiri karishma saazi
asi kashamkash mein guzrin miri zindagi ki raatein
kabhi sozo saaz romi kabhi pech w taab raazi
wo fareb khurda shaahin ki pila ho karagson mein
use kya khabar ki kya hai rah w rasm shaahbaazi
na zaban koi ghazal ki na zaban se baakhbar mein
koi dalaksha sada ho ajmi ho yaa ki taazi
nahi faqr w saltanat mein koi imtiyaaz aisa
ye sipah ki tegh baazi wo nigah ki tegh baazi
koi se toota koi badagman haram se
ki ameer kaarwan mein nahi khoo nawaazi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga