zameer laala mai laal se hua labrez
ishaara paate hi soofi ne tod di parhez
bachhaayi hai jo kahin ne bisaat apni
kya hai us ne faqueeron ko waaras parwez
puraane hain ye sitaare falak bhi farsoda
jahan wo chahiye mujh ko ki ho abhi nokheez
kise khabar hai ki hangaama nashor hai kya
tiri ki gardish hai meri rastaakheez
na chheen lazzat aah sahar gahi mujh se
na kar nigah se taghaaful ko iltifaat aamez
dil ghamin ke mwaafaque nahi hai mausam gul
sada murgh chaman hai bahut nashaat angez
hadees be khabran hai toh ba zamaana basaaz
zamaana ba toh nasaazad toh ba zamaana sateez
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga