mata be baha hai w soz aarzoo mandi
maquam bandagi de kar na loon shaan khadaawandi
tire aazaad bandon ki na ye duniyaa na wo duniyaa
yahan marne ki paabandi wahan jeene ki paabandi
hijaab ikseer hai aawaara koo mohabbat ko
meri aatish ko bhadkaati hai teri der peewandi
guzar auquat kar leta hai ye koh w bayaaban mein
ki shaahin ke liye zillat hai kaar aashiyan bandi
ye feezaan tha yaa ki maktab ki karaamat thi
sakhaaye kis ne asmaeel ko aadaab farzandi
ziyaarat gaah ahal azm w himmat hai lahad meri
ki khaak raah ko mein ne bataaya raaz alondi
miri mashaatgi ki kya zaroorat husn mani ko
ki fitrat khud bakhud karti hai laale ki hina bandi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga