pareshan hoke meri khaak aakhir na ban jaae
jo mushkil ab hai rab phir wahi mushkil na ban jaae
na kar din mujh ko majboor nawa firdaus mein hoorein
mira soz daroon phir garmi mahfil na ban jaae
kabhi chhodi hui bhi yaad aati hai raahi ko
khatak si hai jo seene mein gham manzil na ban jaae
banaaya ishq ne dariya naapeeda karan mujh ko
ye meri khud nagahdaari mira saahil na ban jaae
kahin us aalam be rang w boo mein bhi talab meri
wahi afsaana dumbaala mahmil na ban jaae
urooj aadam khaaki se anjum sahme jaate hain
ki ye toota hua taara mah kaamil na ban jaae
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga