gesoo taab daar ko aur bhi taab daar kar
hosh w khirad shikaar kar qualb w shikaar kar
ishq bhi ho hijaab mein bhi ho hijaab mein
yaa toh khud aashkaar ho yaa mujhe aashkaar kar
toh hai muheet be karan mein hoon zara si aabjo
yaa mujhe hamaknaar kar yaa mujhe be kanaar kar
mein hoon sadaf toh tere haath mere guhar ki aabroo
mein hoon khazaf toh toh mujhe gauhar shaahwaar kar
naghmah nau bahaar agar mere naseeb mein na ho
us dam neem soz ko taayrak bahaar kar
baagh bahisht se mujhe hukm safar diya tha kyoon
kaar jahan daraaz hai ab mira intizaar kar
roz hisaab jab mira pesh ho daftar amal
aap bhi sharmasaar ho mujh ko bhi sharmasaar kar
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga