tah daam bhi ghazal aashna rahe taayraan toh kya
jo fughan dilon mein tadap rahi thi nawa zer labi rahi
tira jalwa kuchh bhi tasalli naasbor na kar saka
wo girya sahri raha wahi aah neem shabi rahi
na khuda raha na sanam rahe na raqueeb der haram rahe
na rahi kahin asad alalhi na kahin abolahbi rahi
mira saaz agarche sitam raseediya zakhma haaye ajam raha
wo shaheed zauque wafa hoon mein ki nawa miri arbi rahi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga