bhi ai haqueeqat muntazir libaas majaaz mein
ki hazaaron sajde tadap rahe hain miri jabeen niyaaz mein
tarab aashna kharosh ho toh nawa hai mahram gosh ho
wo sarod kya ki chhupa hua ho sukoot pardiya saaz mein
toh bachaabcha ke na rakh use tira aaina hai wo aaina
ki shikasta ho toh azeez tar hai aaina saaz mein
dam tauf karmak shama ne ye kaha ki wo asrakhan
na tiri hikaayat soz mein na miri hadees gudaaz mein
na kahin jahan mein aman mili jo aman mili toh kahan mili
mire jurm khana kharaab ko tire afw bandaa nawaaz mein
na wo ishq mein rahein garmeeaanna wo husn mein rahein shokheean
na wo ghazanwi mein tadap rahi na wo kham hai zulf aeeaaz mein
jo mein sar basajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga