ai hamaaeewan! zindagi teri saraapa soz thi
teri chingaari anjuman afroz thi
garche tha tera tan khaaki nazaar w dardamand
thi sitaare ki tarah raushan tiri tab buland
kis quadar be baak us naatwan paikar mein tha
shola gardoon naward ik musht khaakastar mein tha
maut ki lekin dil daana ko kuchh parwa nahi
shab ki khaamoshi mein juz hangaama farda nahi
maut ko samjhe hain ghaafil akhattaam zindagi
hai ye shaam zindagi subh dawaam zindagi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga