shafaque subh ko dariya ka khiraam aaeena
naghma shaam ko khaamoshi shaam aaeena
barg aaina aariz zabeeaaye bahaar
shaahid mai ke liye hajla jaam aaeena
aaina haque aur dil aaina husn
dil insan ko tira husn kalaam aaeena
hai tire fikr falak ras se kamaal hasti
kya tiri fitrat raushan thi maaal hasti
tujh ko jab deediya deedaar talab ne dhoonda
taab khursheed mein khursheed ko pinhan dekha
chashm aalam se toh hasti rahi mastor tiri
aur aalam ko tiri aankh ne uryan dekha
hafaz asraar ka fitrat ko hai sauda aisa
raazdan phir na kare gi koi paida aisa
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga