kali se kah rahi thi ek din shabnam gulistan mein
rahi mein ek muddat ghuncha haaye baagh rizwan mein
tamaare gulistan ki kaifiyat sarshaar hai aisi
nigah firdaus dar daaman hai meri chashm hairan mein
suna hai koi shahzaadi hai haakim us gulistan ki
ki jis ke naqsh pa se hoon paida bayaaban mein
kabhi saath apne us ke aastan tak mujh ko toh le chal
chhupa kar apne daaman mein barnag mauj boo le chal
kali boli sareer aara hamaari hai wo shahzaadi
darakhshan jis ki thokar se hoon patthar bhi nagin ban kar
magar fitrat tiri aftanda aur beegam ki shaan awanchi
nahi mumkin ki toh pahunche hamaari ham nashin ban kar
pahunch sakti hai toh lekin hamaari shaahzaadi tak
kisi dukh ke maare ka ashk aatishin ban kar
nazar us ki payaam id hai ahal mahram ko
bana deti hai gauhar gham zadon ke ashk paiham ko
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga