murshid ki ye taaleem thi ai muslim shoreeda sar
laazim hai rahro ke liye duniyaa mein saamaan
badli zamaane ki hua aisa tagheer aageea
the jo giran quameet kabhi ab hain mata kis makhar
wo shola raushan tira zulmat gurezan jis se thi
ghat kar hua misl sharar taare se bhi kam tar
shaidaai ghaayab na rah deewaanah maujood ho
ghaalib hai ab aqwaam par mabod haazir ka asar
mumkin nahi us baagh mein koshish ho baar aawar tiri
farsoda hai phanda tira zeerak hai murgh tez par
us door mein taaleem hai amraaz millat ki dawa
hai khoon faasad ke liye taaleem misl neshtar
rahbar ke ima se hua taaleem ka sauda mujhe
waajib hai sahra gard par tameel farmaan khizr
lekin nigaah nukta bin dekhe zabon bakhti miri
raftam ki khaar az pa kasham mahmil nihan shud az nazar
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga