quaum ne paighaam go tum ki zara parwa na ki
quadar pahchaani na apne gauhar yak daana ki
aaha! bad quismat rahe aawaaz haque se be khabar
ghaafil apne phal ki sheereeni se hota hai shajar
aashkaar us ne kya jo zindagi ka raaz tha
hind ko lekin khayaali falasfe par naaz tha
shama haque se jo munawwar ho ye wo mahfil na thi
baarish rahmat hui lekin zamin quabil na thi
aaha! shodar ke liye hindostan khana hai
ansaani se us basti ka dil begaana hai
barahman sarshaar hai ab tak me pindaar mein
shama go tum jal rahi hai mahfil aghyaar mein
but kada phir baad muddat ke magar raushan hua
noor abraaheem se aazar ka ghar raushan hua
phir athi aakhir sada toheed ki panjaab se
hind ko ik mard kaamil ne jagaaeea khawaab se
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga