khoob hai tujh ko shiaar saahab seerab ka paas
kah rahi hai zindagi teri ki toh muslim nahi
jis se tere halqah khaatim mein gardoon tha aseer
ai saleemaan! teri ghaflat ne ganwaaya wo nagin
wo nishaan sajda jo raushan tha kokab ki tarah
hogiyi hai us se ab naaaashna teri jabin
dekh toh apna amal tujh ko aati hai kya
wo sadaaqat jis ki be baaqui thi hairat aafrin
tere aaba ki nigah bijli thi jis ke waaste
hai wahi baatil tire kaashaanah mein makin
ghaafla! apne aashiyan ko aa ke phir aabaad kar
naghma zan hai taur mani par kaleem nukta bin
sarakshi baahar ki kardi raam aw baaeed shadan
shola san az har kuja barkhaasti aanjaanshin
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga