raheela kis quadar zaalim jo keena parwar tha
nakaalin shaah teemori ki aankhein nok khanjar se
diya ahal haram ko raqs ka farman sitam gar ne
ye andaaz sitam kuchh kam na tha aasaar mahshar se
!bhala tameel us farmaan ghairat kash ki mumkin thi
shahanshaahi haram ki naazneenaan saman bar se
banaaya aaha! saamaan tarab beedrad ne un ko
nihan tha jin ka chashm mehar w maah w akhtar se
larazte the dil naazuk quadam majboor jumbish the
rawan dariya khoon shahzaadeewan ke deediya tar se
yoonhi kuchh der tak mahaw nazar aankhein rahein us ki
kya ghabra ke phir aazaad sar ko baar maghfar se
kamar se uth ke tegh jan sitan aatish fishan kholi
sabaque aamoz taabaani hoon anjum jis ke jauhar se
rakkha khanjar ko aage aur phir kuchh soch kar leeta
taquaza kar rahi thi neend goya chashm ahmar se
bujhaae khawaab ke paani ne akhgar us ki aankhon ke
nazar sharma gai zaalim ki dard angez manzar se
phir utha aur teemori haram se yoon laga kahne
shikaayat chahiye tum ko na kuchh apne muqaddar se
mira masnad pe so jaana banaawat thi takalluf tha
ki ghaflat door se shaan saf aaraaeeaan lashkar se
ye maqsad tha mira us se koi teemor ki beeti
mujhe ghaafil samajh kar maar daale mere khanjar se
magar ye raaz aakhir khul gaya saare zamaane par
hameet naam hai jis ka gai teemor ke ghar se
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga